Be-Chad Ke Tujh Se Mayassar Hoe Wisal Ke Din Hain Tere Khuwaab Ki Ratein Tere Khayal Ke Din (Mohsin Bhopali)



Be-Chad Ke Tujh Se Mayassar Hoe Wisal Ke Din
Hain Tere Khuwaab Ki Ratein Tere Khayal Ke Din

Firaq-e-Jaan Ka Zamana Guzarna Hoga
Fughan Se Kam Tou Na Honge Ye Mah-o-Saal Ke Din

Har Ik Amal Ka Woh Kia Kia Jawaaz Rakhta Hai
Na Ban Padega Jawaab Aik Bhi Sawaal Ke Din

Urooj-e-Bakht Mubarak Magar Ye Dhyan Rahe
Inhi Dinon Ke Ta'aqub Mein Hain Zawaal Ke Din

Guzar Rahe Hain Kuch Is Tarah Roz-o-Shab Apne
Keh Jis Tarah Se Katen Shakh-e-Be-Nihal Ke Din

Shikayaten Bhi Buhat Hain Hikayaten Bhi Buhat
Guzar Na Jaen Yunhi Ahd-e-Be-Misaal Ke Din

Woh Zindagi Ko Naya Mod De Gaya "Mohsin"
Yahi Zawaal Ke Din Hain Mere Kamaal Ke Din 
 
Poet:Mohsin Bhopali

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha