Be-Khabar sa tha Magar Sab Ki Khabar Rakhta Tha Chahe Jane Ke Sabhi Aib-o-Hunar Rakhta Tha (Mohsin Bhopali)



Be-Khabar sa tha Magar Sab Ki Khabar Rakhta Tha
Chahe Jane Ke Sabhi Aib-o-Hunar Rakhta Tha

La-Ta'alluq Nazat Aata Tha Ba-Zahir Lekin
Be-Niazana Har Ik Dil Mein Guzar Rakhta Tha

Us Ki Nafrat Ka Bhi Meyar Juda Tha Sab Se
Woh Alag Apna Ik Andaz-e-Nazar Rakhta Tha

Be-Yaqeeni Ki Fizaon Mein Bhi Tha Hausala-Mand
Shab-Paraston Se Bhi Umeed-e-Sahar Rakhta Tha

Mashware Karte Hain Jo Ghar Ko Sajane Ke Liye
Un Se Kis Tarah Kahon Main Bhi Tou Ghar Rakhta Hon

Us Ke Har Waar Ko Sahta Raha Hans Kar "Mohsin"
Ye Ta'assur Na Diya Main Bhi Sipar Rakhta Tha
 
Poet:Mohsin Bhopali

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha