Be-Sabab Log Badalte Nahi Maskan Apna Tum Ne Jalte Hoe Dekha Hai Nasheman Apna (Mohsin Bhopali)
Be-Sabab Log Badalte Nahi Maskan Apna
Tum Ne Jalte Hoe Dekha Hai Nasheman Apna
Kis Kadey Waqt Mein Mausam Ne Gawahi Mangi
Jab Gareban Hi Apna Hai Na Daman Apna
Apne Lut Jane Ka Ilzam Kisi Ko Kia Doon
Main Hi Tha Rah-numa Main Hi Tha Rahzan Apna
Koi Milta Hai Jo Is Daur-e-Pur-Ashob Mein Dost
Mashware De Ke Bana Lete Hain Dushman Apna
Jab Bhi Sach Bolte Bachhon Pe Nazar Padti Hai
Yaad Aa Jata Hai Be-Sakhta Bachpan Apna
Yun Kia Karte Hain Lakhon Ko Naseehat Aksar
Jaise Hum Ne Na Guzara Ho Ladakpan Apna
Rang-e-Mehfil Ke Liye Hum Nahi Badle "Mohsin"
Wahi Andaz-e-Takhayyul Hai Wahi Fan Apna
Poet:Mohsin Bhopali
Comments
Post a Comment