Chahat Mein Kia Dunya-Dari Ishq Mein Kaisi Majbori Logon Ka Kia Samjhane Do Un Ki Apni Majbori (Mohsin Bhopali)



Chahat Mein Kia Dunya-Dari Ishq Mein Kaisi Majbori
Logon Ka Kia Samjhane Do Un Ki Apni Majbori

Main Ne Dil Ki Baat Rakhi Aur Tu Ne Dunya Walon Ki
Meri Arz Bhi Majbori Thi Un Ka Hukam Bhi Majbori

Rok Sako Tou Pehli Barish Ki Bondon Ko Tum Roko
Kachhi Mitti Tou Mehkegi Hai Mitti Ki Majbori

Zat-Kade Mein Pahron Baten Aur Milan Tou Mohar Ba-Lab
Jabr-e-Waqt Ne Bakhshi Hum Ko Ab Ke Kaisi Majbori

Jab Tak Hansta Gaata Mausam Apna Hai Sab Apne Hain
Waqt Pade Tou Yaad Aa Jati Hai Masnui Majbori

Ik Aawaara Badal Se Kiyon Main Ne Saaya Manga Tha
Meri Bhi Ye Nadani Thi Us Ki Bhi Thi Majbori

Muddat Guzri Ik Waade Par Aaj Bhi Qaaim Hain "Mohsin"
Hum Ne Saari Umar Nibhai Apni Pehli Majbori
 
Poet:Mohsin Bhopali

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai