Mujhe gharaz hai sitare na mahtaab ke saath Chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath
Mujhe gharaz hai sitare na mahtaab ke saath
Chamak raha hai ye dil poori aab-o-taab ke saath
Napi-tuli si muhabbat laga-bandha sa karam
Nibha rahe ho ta'aluq bade hisaab ke saath
Main is liye nahi thakta tere ta'aqub se
Mujhe yaqeen hai keh paani bhi hai sarab ke saath
Sawal-e-wasl pe inkaar karne waale sun
Sawal khatam nahi hoga is jawaab ke saath
Khamoshi jheel ke paani mein woh udasi thi
Keh dil bhi doob gaya raat mahtaab ke saath
Jata diya keh muhabbat mein gham bhi hote hain
Diya gulaab tou kaanty bhi thay gulaab ke saath
main le udunga tere khadd-o-khaal se ta'abeer
Na dekh meri taraf chashm-e-neem khuwaab ke saath
are ye sirf bahana hai baat karne ka
Meri majaal keh jhagda karon janab ke saath
Wisal-o-hijar ki sarhad pe jhutpute mein kahein
Woh be-hijaab hoa tha magar hijaab ke saath
Shikasta aaina dekha phir apna dil dekha
Dekhai di mujhe ta'abeer-e-khuwaab khuwaab ke saath
Wahan milonga jahan dono waqt milte hain
Main kam-naseeb tere jaise kamyaab ke saath
Dayar-e-hijar ke roza-guzar chahte hain
Keh roza kholen tere aur sharaab-naab ke saath
Tum achhi dost ho so mera mashwara ye hai
Mila-jula na karo "Faris"-e-kharaab ke saath
Poet:Rehman Faris
Comments
Post a Comment