Nazar uthaen tou kia kia fasana banta hai sau pesh -e-yaar nigahein jhukana banta hai
Nazar uthaen tou kia kia fasana banta hai
sau pesh -e-yaar nigahein jhukana banta hai
Woh laakh be-khabar-o-be-wafa sahi lekin
Talab kia hai gar us ne tou jana banta hai
Ragon talak utar aai hai zulmat-e-shab-e-gham
so ab charaagh nahi dil jalana banta hai
Paraai aag mera ghar jala rahi hai so ab
Khamosh rehna nahi ghul machana banta hai
Qadam qadam pe tawazun ki baat mat kijiye
Ye mai-kada hai yahaan ladkhadana banta hai
Bichadne wale tujhe kis tarah bataon main
Keh yaad aana nahi tera aana banta hai
Ye dekh kar keh tere aashiqon mein main bhi hoon
jamaal-e-yaar tera muskurana banta hai
Junoon bhi sirf dekhawa hai wehshat bhi ghalat
Deewana hai nahi "Faris" deewana banta hai
Poet:Rehman Faris
Comments
Post a Comment