Raat aa baithi hai pehlo mein sitaro takhliya Ab humein darkaar hai khilwat so yaaro takhliya
Raat aa baithi hai pehlo mein sitaro takhliya
Ab humein darkaar hai khilwat so yaaro takhliya
Aankh wa hai aur husn-e-yaar hai paish-e-nazar
Shash-jihat ke baqi-manda sab nazaro takhliya
Dekhne wala tha manzar jab kaha darwaish ne
Kaj-kulaho badshaho taj-daro takhliya
Gham se ab hogi barah-rast meri guftago
Dosto teemardaro gham-gusaro takhliya
Chaar janib hai hujoom-e-na-shayan-e-sukhan
Aaj poore zor se "Faris" pukaaro takhliya
Poet:Rehman Faris
Comments
Post a Comment