Sada'en dete hoe aur khaak udate hoe Main apne-aap se guzra hoon tujh tak aate hoe
Sada'en dete hoe aur khaak udate hoe
Main apne-aap se guzra hoon tujh tak aate hoe
Phir is ke baad zamane ne mujhe raund diya
Main gir pada tha kisi aur ko uthaty hoe
Kahani khatam hoi aur aisi khatam hoi
Keh log rone lage taliyan bajate hoe
phir is ke baad ata ho gai mujhe taseer
Main ro pada tha kisi ko ghazal sunate hoe
Khareedna hai tou dil ko khareed le fauran
Khilone toot bhi jate hain azmate hoe
Tumhara gham bhi kisi tifl-e-sheer-khuwaar sa hai
Keh uungh jata hoon main khud use sulate hoe
Agar mile bhi tou milta hai raah mein "Faris"
Kahein se aate hoe ya kahein ko jate hoe
Poet:Rehman Faris
Comments
Post a Comment