Sukoot-e-sham mein goonji sada udasi ki Keh hai mazeed udasi dawa udasi ki
Sukoot-e-sham mein goonji sada udasi ki
Keh hai mazeed udasi dawa udasi ki
Buhat shareer tha main aur hansta phirta tha
Phir ik faqeer ne de di dua udasi ki
Umoor-e-dil mein kisi teesre ka dakhal nahi
Yahaan faqat teri chalti hai ya udasi ki
Charaagh-e-dil ko zara ehteyaat se rakhna
Keh aaj raat chalegi hawa udasi ki
Woh imtezaj tha aisa keh dang thi har aankh
Jamaal-e-yaar ne pehni qaba udasi ki
Isi umeed pe aankhein barasti rehti hain
Keh ek din tou sunega khuda udasi ki
Shajar ne poocha keh tujh mein ye kis ki khushbo hai
Hawa-e-shaam-e-alam ne kaha udasi ki
Dil-e-afsurda ko main ne tou maar hi daala
so main tou theek hoon ab tu suna udasi ki
Zara sa chhu len tou ghanton dahakti rehti hai
humein tou maar gai ye ada udasi ki
Buhat dino se main us se nahi mila "Faris"
Kahein se khair-khabar le ke aa udasi ki
Poet:Rehman Faris
Comments
Post a Comment