Umar bhar ishq kisi taur na kam ho 'Ameen' Dil ko har rose ata niamat-e-gham ho 'Ameen'



Umar bhar ishq kisi taur na kam ho 'Ameen'
Dil ko har rose ata niamat-e-gham ho 'Ameen'
 
Mere Kaase ko hai bas chaar hi sikkon ki talab
Ishq ho waqt ho kaghaz ho qalam ho 'Ameen'
 
Hujra-e-zaat mein ya mehfil-e-yaraan mein rahoon
Fikr Dunya ki Mujhe ho bhi tou kam ho 'Ameen'
 
Jab main khamosh rahon raunaq-e-mehfil thehron
Aur jab baat karon baat mein dum ho 'Ameen'
 
Log Chahein bhi tou hum ko na juda kar paaen
Yun meri zaat teri zaat mein zam ho 'Ameen'
 
Ishq mein doob ke jo kuch bhi lekhon kaghaz par
Khud-ba-khud lauh-e-zamana pe raqam ho 'Ameen'
 
Na Dara Paae mujhe tergi-e-dasht-e-firaq
Har taraf raushni-e-deeda-e-nam ho 'Ameen'
 
'Meer' ke sadqe mere harf ko darweshi mile
Door mujh se hawas-e-dam-o-diram ho 'Ameen'
 
Mere Kanoon ne suna hai tere baare mein buhat
meri aankhon pe bhi thoda sa karam ho 'Ameen'
 
Jab Zameen akhri hiddat se peghalne lag jaae
Ishq ki chhanv mere sar ko baham ho 'Ameen'
 
Poet:Rehman Faris

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha