Wada-e-yaar ka lamha thehar gaya mujh mein Main khud tou zinda raha waqt mar gaya mujh mein
Wada-e-yaar ka lamha thehar gaya mujh mein
Main khud tou zinda raha waqt mar gaya mujh mein
Sukoot-e-shaam mein cheekhen sunaai deti hain
Tu jate jate ajab shor bhar gaya mujh mein
Woh pehle sirf meri aankh mein samaya tha
phir ek rose ragon tak utar gaya mujh mein
Kuch aise dhyan mein chehra tera tulua hoa
Ghurob-e-shaam ka manzar nikhar gaya mujh mein
Main us ki zaat se munkir tha aur phir ik din
Woh apne hone ka elaan kar gaya mujh mein
Khandar samajh ke meri sair karne aaya tha
Gaya tou mausam-e-gham phool dhar gaya mujh mein
Gali mein goonjee khamoshi ki cheekh raat ke waqt
Tumhari yaad ka bachha sa dar gaya mujh mein
Bata main kya karon dil naam ke is angan ka
Tere umeed pe jo saj-sanwer gaya mujh mein
Ye apne apne muqaddar ki baat hai "Faris"
Main is mein semta raha woh bikhar gaya mujh mein
Poet:Rehman Faris
Comments
Post a Comment