Ye jo mujh par nikhaar hai saa'en Aap hi ki bahaar hai saa'en



Ye jo mujh par nikhaar hai saa'en
Aap hi ki bahaar hai saa'en

Aap chahen tou jaan bhi le len
Aap ko ikhteyaar hai saa'en

Tum milate ho bichdey logon ko
Ek mera bhi yaar hai saa'en

Kisi khonti se bandh dijiye use
Dil bada be-mahar hai saa'en

Ishq mein laghzishon pe kijiye mua'af
Saa'en ye pehli baar hai saa'en

Kul mila kar hai jo bhi kuch mera
Aap se musta'ar hai saa'en

Ek kashti bana hi dejiye mujhe
Koi dariya ke paar hai saa'en

Rose aansoo kama kar lata hoon
Gham mera rozgaar hai saa'en

Wusa'at-e-rizaq ki dua dijiye
Dard ka karobaar hai saa'en

Khaar-zaron se ho ke aaya hoon
Pairhan taar taar hai saa'en

Kabhi aa kar tou dekhiye keh ye dil
Kaisa ujda dayar hai saa'en

Poet:Rehman Faris

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo