Dheyan me Aa kar baithj gaye ho ,Tum Bhi Na Mujhe musalsal dekh rahe ho ,Tum Bhi Na



دھیان میں آ کر بیٹھ گئے ہو, تم بھی نا
مجھے مسلسل دیکھ رہے ہو, تم بھی نا

دے جاتے ہو مجھ کو کتنے رنگ نئے
جیسے پہلی بار ملے ہو, تم بھی نا

ہر منظر میں اب ہم دونوں ہوتے ہیں
مجھ میں ایسے آن بسے ہو, تم بھی نا

عشق نے یوں دونوں کو ہم آمیز کیا
اب تو تم بھی کہہ دیتے ہو, تم بھی نا

خود ہی کہو,اب کیسے سنور سکتی ہوں میں
آئینے میں تم ہوتے ہو, تم بھی نا

بن کے ہنسی ان ہونٹوں پر بھی رہتے ہو
اشکوں میں بھی تم بہتے ہو, تم بھی نا

میری بند آنکھیں بھی تم پڑھ لیتے ہو
مجھ کو اتنا جان چکے ہو, تم بھی نا

مانگ رہے ہو رخصت مجھ سے اور خود ہی
ہاتھ میں ہاتھ لیے بیٹھے ہو, تم بھی نا

Dheyan me Aa kar baithj gaye ho ,Tum Bhi Na
Mujhe musalsal dekh rahe ho ,Tum Bhi Na

De Jate Ho Mujh ko Kitny Rangt Naye
Jaise Pehli Baar Mily Ho ,Tum Bhi Na

Har Manzar Mein Ab Hum Dono  Hote Hain
Mujh mein Aise Aaan Basy Ho  ,Tum Bhi Na

Ishq Ne Yun Dono ko Hum-Amaiz Kia
Ab Tou Tum Bhi Keh Dete Ho  ,Tum Bhi Na

Khud Hi Kaho , Ab Kaise Sanwar Sakti Hon Main
Aainay Mein Tum Hote Ho ,Tum Bhi Na
 
Ban K Hansi In Honton Par Bhi Rehty Ho
Ashkon Mein Bhi Tum Behty Ho ,Tum Bhi Na

Meri Band Aankhen Bhi Tum Parh Laite Ho
Mujh Ko Itna Jaan Chuky Ho ,Tum Bhi Na

Maang Rahe Ho Rukhsat Mujh Se Aur Khud Hi
Haathon Mein Haath Liye Baithy Ho ,Tum Bhi Na

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo