Faqat Khala Tha Nahi , Khala Bhi Kahein Nahi Tha Adamkadey Me Na Thay , Zaman o Makaan Kahein Bhi



فقط خلا تھا
نہیں، خلا بھی کہیں نہیں تھا
عدم کدے میں نہ تھے زمان و مکاں کہیں بھی
عدم کدہ بھی کہیں نہیں تھا
نہ وقت تھا اور نہ رنگ و بو تھے
نہ تخت و بالا نہ چار سُو تھے
وجود معدوم، ہست کا ہر نشاں ندارد
زمیں سرے سے نہیں تھی اور آسماں ندارد
نہ روح کی لے ، نہ سانس کی دُھن
نہ جاں کی آہٹ ، نہ دِل کی سُن گُن
پھر ایک آواز گونج اُٹھی کُن!

رحمان فارس
Faqat Khala Tha
Nahi , Khala Bhi Kahein Nahi Tha
Adamkadey Me Na Thay , Zaman o Makaan Kahein Bhi 
Adamkada Bhi Kahein Nahi Tha
Na Waqt Tha Na Rang o Boo Thay
Na Takht o Bala Na Chaar Soo Thay
Wajood Ma'adoom , Hast Ka Har Nishaan Na Darad
Zameen Sere Se Nahi Thi Aur Asman Na Darad
Na Rooh Ki Ley , Na Saans Ki Dhun
Na Jaan Ki Aahat , Na Dil Ki Sun Gun
Phir Aik Aawaaz Goonj Uthi 'KUN'

Rehman Faris

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo