samandar mein utarta hon,to aankhen bheeg jati hain teri aankhon ko parhta hon,to aankhen bheeg jati hain



samandar mein utarta hon,to aankhen bheeg jati hain
teri aankhon ko parhta hon,to aankhen bheeg jati hain

teri yadon ki khushbo,khirkyon mein raqs karti hai
teray gham mein sulagta hon,to aankhen bheeg jati hain

main hans k jheel leta hon,judai ki sabhi rasmain
galay jab us k lagta hon,to aankhen bheeg jati hain

na janay ho gya hon isqadar hasas main kab se
kisi se baat karta hon,to aankhen bheeg jati hain

woh sab guzray huae lamhaat mujhko yaad aatay hain
tumharay khat jo parhta hon,to aankhen bheeg jati hain

main sara din bohat masroof rahta hon,magar junhi
qadam chokhat pe rakhta hon,to aankhen bheeg jati hain

har ik muflis k maathay par alam ki dastanen hain
koi chehra bhi parhta hon,to aankhen bheeg jati hain

baray logon k,oonchay aur badnuma,aur sard mahlon ko
ghareeb aankhon se takta hon,to aankhen bheeg jati hain

teray koochay se ab mera ta'aluq wajibi sa hai
magar jab bhi guzarta hon,to aankhen bheeg jati hain

hazaron mosmon ki hukmarani hai meray dil par
WASI main jab bhi hansta hon,to aankhen bheeg jati hain

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha