Phira Hon Saaray Zamanay Mein Dar-badar Kaisay Main Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay



Phira Hon Saaray Zamanay Mein Dar-badar Kaisay
Main Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay

Woh Jaanta Hai Ke Kuch Roz Woh Nahi Tha Tou Main
Pukaarta Raha Os Ko Idhar Udhar Kaisay

Main Jis Ke Hijar Mein Roya Hon Paaglon Ki Tarah
Woh Kal Mila Tou Hansa Mere Haal Par Kaisay

Azeez-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Wasl Mein Bhi
Woh Tere Hijar Mein Jaaga Hai Umar Bhar Kaisay

Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon Mohsin
Main Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay
Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo