Hae dua ,magar harf e dua yaad naheen meray naghmaat ko andaz e nawa yaad naheen
Hae dua ,magar harf e dua yaad naheen
meray naghmaat ko andaz e nawa yaad naheen
meray naghmaat ko andaz e nawa yaad naheen
man ne palkon se dar e yar pe dastak di ha
man wo saael hun,jisay koi sada yaad naheen
man ne jin k liae,rahon main bichaya tha lahoo
hm se kahty han wohi,aehd e wafa yad naheen
kasay bhar aaen sar e sham kisi ki aankhen
kasay tharai charaghon ki zia,yad naheen
sirf dhudlae sitaron ki chamak dekhi ha
kb hua,kaun hua,kis se khafa ,yad naheen
zindgi jabr e musalsal ki tarah kati ha
janay kis jurm ki paai ha saza ,yad naheen
aao ik sajda karen aalam e madhoshi main
log kahtay han k SAGAR ko khuda yaad naheen
Poet:Saghar Siddiqui
Comments
Post a Comment