Jo uttar k zeena e sham se ,teri chashm e khush main sama gae wohi jaltay bujhtay charagh se ,meray baam o dar ko saja gae



Jo uttar k zeena e sham se ,teri chashm e khush main sama gae
wohi jaltay bujhtay charagh se ,meray baam o dar ko saja gae

ye ajeeb khail ha pyar ka,man ne ap dekha ye mojza
wo jo lafz meray guman main thay,wo teri zuban pe aa gae

wo jo geet tum ne suna nahen,meri umr bhr ka riaz tha
meray drd ki thi wo dastaan,jisay tum hansi main urra gae

wo charagh e jan kabhi jis ki lo,na kisi hawa se nigoon hui
teri be wafai k waswasy,usay chupkay chupkay bujha gae

wo tha chaand sham e wisal ka,k tha roop teray jamal ka
meri rooh se meri aankh tk,kisi roshni main naha gae

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo