Moti nahi hon rait ka zara to main bhi hon Darya tery wajood ka hisa to main bhi hon



موتی نہیں ہوں ریت کا ذرہ تو میں بھی ہوں
دریا ترے وجود کا حصّہ تو میں بھی ہوں

اے قہقہے بکھیرنے والے، تو خوش بھی ہے؟
ہنسنے کی بات چھوڑ کہ ہنستا تو میں بھی ہوں

مجھ میں اور اُس میں صرف مقدّر کا فرق ہے
ورنہ وہ شخص جتنا ہے اتنا تو میں بھی ہوں


اُس کی تو سوچ، دنیا میں جس کا کوئی نہیں
تو کس لئے اُداس ہے تیرا تو میں بھی ہوں


اک ایک کر کے ڈوبتے تارے بھی بجھا کئے
مجھ کو بھی ڈوبنا ہے ستارہ تو میں بھی ہوں


اک آئینے میں دیکھ کے آیا ہے یہ خیال
میں کیوں نہ اُس سے کہہ دوں کہ تجھ سا تو میں بھی ہوں!


**************************************

Moti nahi hon rait ka zara to main bhi hon
Darya tery wajood ka hisa to main bhi hon


Aey qehqahay bakhairnay walay to khush bhi hai
Hansnay ki baat chor k hansta to main bhi hon


Mujh mein or uss mein sirf muqadar ka farq hai
Warna wo shakhs jitna hai utna to main bhi hon


Uski to soch duniya mein jiska koi nahi
To kis liye udaas hai tera to main bhi hon


Ik aik kar k doobtay taaray bhi bujha kiye
Mujh ko bhi doobna hai sitara to main bhi hon


Ik aayenay mein daikh k aaya hai ye khayaal
Main kyon na uss se keh doon k tujh sa to main bhi hon

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo