Aks Pani Pe Main Tahreer Karon Zindagi Aa Tujhe Tasweer Karon



عکس پانی پہ میں تحریر کروں
زندگی آ تجھے تصویر کروں
بت بناؤں میں کوئی مٹی کا
روح پھونکوں اسے تسخیر کروں
خواب دیکھوں میں تری مرضی کا
اپنی مرضی کی میں تعبیر کروں
تجھ کو شہرت کی بلندی دے کر
اپنی گمنامی کی تشہیر کروں

Aks Pani Pe Main Tahreer Karon
Zindagi Aa Tujhe Tasweer Karon
Butt Banaoun Main Koi Mitti Ka
Rooh Phonkon Usay Taskheer Karon
Khuwaab Dekhon Main Teri Marzi Ka
Apni Marzi Ki Main Ta'abeer Karon
Tujh Ko Shuhrat Ki Bulandi De Kar 
Apni Gum-Naami Ki Tashheer Karon

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai