jis roz humara kooch hoga phoolon ki dukaanain band hongi



جس روز ہمارا کوچ ہوگا
پھولوں کی دکانیں بند ہوں گی
شیریں سخنوں کے حرفِ دُشنام
بے مہر زبانیں بند ہوں گی
پلکوں پہ نمی کا ذکر ہی کیا
یادوں کا سراغ تک نہ ہوگا
ہمواری ِ ہر نفس سلامت
دل پر کوئی داغ تک نہ ہوگا
پامالیِ خواب کی کہانی
کہنے کو چراغ تک نہ ہوگا
معبود ! اس آخری سفر میں
تنہائی کو سرخ رو ہی رکھنا
جز تیرے نہیں کوئی نگہدار
اس دن بھی خیال تو ہی رکھنا
جس آنکھ نے عمر بھر رلایا
اس آنکھ کو بے وضو ہی رکھنا
جس روز ہمارا کو چ ہو گا
پھو لوں کی دکانیں بند ہوں گی
افتخار عارف

jis roz humara kooch hoga
phoolon ki dukaanain band hongi
sheereen sukhanoun k herf e dushnaam
be mehar zubaanain band hongi

palkon peh nami ka ziker hi kia
yaadon ka suraagh tak na hoga
humwari-e-her nafs salaamat
dil per koi daagh tak na hoga
paamaali-e-khwaab ki kahani
kehne ko charaagh tak na hoga

maabood !is aakhri safer main
tanhaayi ko surkhroo hi rakhna
juz tere koi nahin nigahdaar
us din bhi khayaal too hi rakhna
jis aankh ne umer bhar rulaaya
us aankh ko be wuzoo hi rakhna

jis roz humara kooch hoga
phoolon ki dukaanain band hongi
Iftekhar Arif
 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai