Jo khandani raees hai wo mizaj rakhte hain narm apna tumhara lahja bata raha hai tumhari doulat nayi nayi hai



khamosh lab hai jhuki hai palken
dilo mein ulfat nayi nayi hai
Abhi taklluf hai guftgu mein
abhi muhobat nayi nayi hai
Abhi na aayegi neend tumko abhi na
hamko sukoon milega
abhi to dhadke ka dil zyada abhi ye
chahat nayi nayi hai
Bahar ka aaj pahla din hai chalo
chaman mein tahlke aayen
faza mein khushbo nayi nayi hai gulo
pe rangat nayi nayi hai
Jo khandani raees hai wo mizaj
rakhte hain narm apna
tumhara lahja bata raha hai
tumhari doulat nayi nayi hai
zara sa qudrat ne kya nawaza ke
aake baithe ho pahli saf mein
abhi se udne lage hawa mein abhi to
shuhrat nayi nayi hai
Bamo ki barsat ho rahi purane
janbaz so rahe hain
Gulam duniya ko kar raha hai wo
jiski takhat nayi nayi hai....!

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha