o dais say anay walay bata kiss haal mein hein yaran-e-watan awar-e-ghurbat ko bhi suna kis rang mein hein kinaan-e-watan wo bagh-e-watan firdaus-e-watan wo suroor-e-watan rehan-e-watan



o dais say anay walay bata
o dais say anay walay bata

kiss haal mein hein yaran-e-watan
awar-e-ghurbat ko bhi suna
kis rang mein hein kinaan-e-watan
wo bagh-e-watan firdaus-e-watan
wo suroor-e-watan rehan-e-watan

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi watan mein wesay he
sarmast nazaray hotay hein
kia ab bhi suhani raton ko
wo chand sitaray hotay hein
hum khel jo khela kartay thay
kia ab bhi so saray hotay hein

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

shadab shagufta pholon say
mamoor hein gulzar ab k nahi
bazar mein malan lati he
pholon k gundhay haar ab k nahi
aur shauq say totay pardtay hein
no umer khareedar ab k nahi

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi wahan wesi he jawan
aur mudh bhari ratein hoti hein
kia rat bhar ab bhi geeton ke
aur piyar ki batein hoti hein
wo husn k jado chaltay hein
wo ishq ki ghatein hoti hein

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab wahan panghat par
pinharian pani bharti hein
angrae ka naqsha ban ban kar
sab mathay pay gagar dharti hein
aur apnay ghar ko jatay hoay
hansti hoe chehlein karti hein

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi pahari ghaton mein
ghanghor ghatain gonjti hein
sahal k ghaneray pairon mein
barkha ki sadain gonjti hein
jheenger k taranay jagtay hein
moron ki sadain gonjti hien

o dias say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi wahan mailon mein wohi
barsat ka joban hota he
phelay hoay bard ki shakhon mein
jholon ka nasheman hota he
umday hoay badal hotay hein
chaya hua sawan hota he

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi wahan barsat k din
baghon mein baharain ati hein
maasom-o-haseen doshezain
barkha k taranay gati hien
aur titlion ki tarha say rangein
jhoolon par lehrati hein

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia pehli s he masoom abhi
wo madrasay ki shadab fiza
kuch bholay hoay din guzray hein
jis mein wo misal-e-khuwab-e-fiza
wo khel, wo hum sin, wo medan
wo khuwab gah-e-mehtab-e-fiza

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi kisi kay sinay mein
baqi he hamarai chaah bata ????
kia yad hamein bhi karta he ab
yaroon mein koi aaah bata ????
o dais say anay walay bata
LILLAH bata LILLAH bata

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

kia ab bhi fajar dam charwahay
reward ko charanay jatay hein
aur sham dhundhlay sayon k hamrah
ghar ko atay hein !!!
aur apni raseeli bansrion mein
ishq k naghmay gatay hein

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

akhar mein ye hasar hay k bata
wo ghart-e-emaan kesi hei
bachpan mein afat dhati thee
wo aaft-e-dauran kesi he
hum donon thay jis parwanay
wo sham-e-shabistan kesi he

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

marjana tha jis naam bata
wo ghuncha dehan kis hal mein he
jis par thay fida tiflan-e-watan
wo jan-e-watan kis haal mein he
wo saror-e-chaman wo rashk-e-watan
wo semein badan kis hal mein he

o dais say anay walay bata

o dais say anay walay bata

ab nam-e-khuda ho gi wo jawan
mekay mein he ya susraal gae
gahr par he rahi ya ghar say gae
khush'hal rahi , khush hal gae


o dais say anay walay bata
o dais say anay walay bata

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai