Bakhash Deta Hai Woh Khataoun Ko Haath Uthtay Hain Jab Duaoun Ko








بخش دیتا ہے وہ خطاؤں کو
ہاتھ اٹھتے ہیں جب دعاؤں کو
Bakhash Deta Hai Woh Khataoun Ko
Haath Uthtay Hain Jab Duaoun Ko


دل سے گرتا ہوں جب میں سجدوں میں
دور کرتا ہے سب بلاؤں کو
Dil Se Girta Hoon Jab Main Sajdon Mein
Door Karta Hai Sab Balaoun Ko
 
میں پرندہ ہوں تھک بھی جاتا ہوں
پر لگاتا ہے وہ فضاؤں کو
Main Parenda Hoon Thak Bhi Jata Hoon
Par Lagata Hai Woh Fizaoun Ko

یہ عطا ہے, یہ اُس کی رحمت ہے
میں مُسخّر کروں خلاؤں کو
Ye Aata Hai Ye Uss Ki Rehmat Hai
Main Musakhar Karon Khalaoun Ko

وقت کی سختیوں کو ٹالے وہ
وہی لاتا ہے دھوپ چھاؤں کو
Waqt Ki Sakhtiyon Ko Talay Woh
Wahi Lata Hai Dhoop Chaaoun Ko

بس اک اللہ ہمیں بہت کافی
چھوڑ باقی سبھی خداؤں کو
Bas Ik ALLAH Humain Buhat Kaafi
Chorr Baqi Sabhi Khudaoun Ko

کبھی دے کے مجھے، کبھی لے کر
وہ پرکھتا مری وفاؤں کو
Kabhi De Ke Mujhe Kabhi Le Kar
Woh Parakhta Meri Wafaoun Ko

سوچ ماتھے پہ وہ اگر لکھ دے
کون پوچھے گا پارساؤں کو
Soch Maathey Pe Woh Agar Lekh Dey
Kon Poochay Ga Paarsaaoun Ko

ایک یہ معجزہ ہی کیا کم ہے
وہ ملاتا ہے ہمنواؤں کو
Aik Ye Muajeza Hi Kia Kam Hai
Woh Milata Hai Humnawaoun Ko

سب تکبّر، غرور چھین مرا
اور مٹا دے سبھی اناؤں کو
Sab Takabur , Ghoroor Cheen Mera
Aur Mita Dey Sabhi Anaaoun Ko

ایک اللہ نہ گر سنے ابرک
کون سنتا ہے ہم گداؤں کو
Aik ALLAH Na Gar Sunay ABRAK
Kon Sunta Hai Hum Gadaaoun Ko

اتباف ابرک
Atbaf Abrak


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha