Garchey Kam Kam Teri Tasweer Nazar Aati Hai Saat Rangon Ki Sadaa Aath Pehar Aati Hai



گرچہ کم کم تری تصویر نظر آتی ہے
سات رنگوں کی صدا آٹھ پہَر آتی ہے
شاعری نامی پرندے کے ذریعے مجھ تک
کتنے نادیدہ زمانوں کی خبر آتی ہے
فیصلہ کرلے کہ ہے کون زیادہ حسّاس
تُجھ کو آتی ہے مہک، مجھ کو نظر آتی ہے
کون فنکار سنبھالے وہاں مصرعے کی لچک ؟
قافیہ بن کے جہاں تیری کمر آتی ہے
شعر تو بعد میں ہم سُنتے سُناتے رہیں گے
پہلے بتلا، تُجھے تعظیمِ ہُنر آتی ہے ؟
اور کیا آئے گا ہم اہلِ محبت پہ عذاب ؟
ہاں قیامت ہے، سو آنے دو اگر آتی ہے
سوچتا ہوں کہ گلی والے گُلوں کی خوشبو
کیسے در کھولے بِنا صحن میں در آتی ہے ؟
راستہ لاکھ مُقفّل ہو گلے سے لب تک
چیخ تو چیخ ہے، چُپکے سے گزر آتی ہے
ایسا خودکار ہے فارس مِرے اشکوں کا نظام
خالی ہوتی ہے مِری آنکھ تو بھر آتی ہے
رحمان فارس
 
Garchey Kam Kam Teri Tasweer Nazar Aati Hai
Saat Rangon Ki Sadaa Aath Pehar Aati Hai
Shaairi Naami Parindey K Zariey Mujh Tak
Kitney Naa-deeda Zamaanon Ki Khabar Aati Hai
Faisla Kar Ley K Hai Kon Zyaada Hassaas
Tujh Ko Aati Hai Mehek, Mujh Ko Nazar Aati Hai
Kon Fankaar Sanbhaaley Wahaan Misrey Ki Lachak ?
Qaafiya Ban K Jahaan Teri Kamar Aati Hai
Sher To Baad Mein Ham Suntey Sunaatey Rahein Gey
Pehley Batla, Tujhey Taazeem-e-Hunar Aati Hai ?
Aur Kya Aaey Ga Ham Ehl-e-Muhabbat Pe Azaab
Haan Qyaamat Hai, So Aaney Do Agar Aati Hai
Sochta Hoon K Galee Waley Gulon Ki Khushboo
Kaisey Dar Kholey Bina Sehn Mein Dar Aati Hai ?
Raasta Laakh Muqfal Ho Galey Se Lab Tak
Cheekh To Cheekh Hai, Chupkey Se Guzar Aati Hai
Aisa Khud-kaar Hai Faris Merey Ashkon Ka Nizaam
Khaali Hoti Hai Meri Aankh To Bhar Aati Hai

Rehman Faris

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha