Kabhi aanson kabhi khushbo kabhi naghma ban kar Hum se har sham meli hai tera chehra ban kar



Kabhi aanson kabhi khushbo kabhi naghma ban kar
Hum se har sham meli hai tera chehra ban kar
Chand nekla hai teri aankh k aanson ki tarha
Phool mehke hain teri zulf ka saya ban kar
Meri jagi hoi ratoon ko osi ki hai talash
So raha hai meri aankhon mein jo sapna ban kar
Dil k kaghz par utrta hai tou shaeron ki tarha
Mere honton peh machalta hai tou naghma ban kar
Raat bhi aae tou bhujhti nahen chehre ki chamak
Rooh mein phail gaya hai jo ujala ban kar
Mera keya hal hai ye aa k kabhi dekh tou ly
Jee raha hon tera bhola hoa wada ban kar
Dhoop mein kho gaya wo hath chura kar Kaheen
Ghar se tou sath chala tha mera saya ban kar
Mumtaz Rashed


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha