Kisi Ki Ankh Se Sapney Chura Kar Kuch Nahi Milta Mandiron Ke Chiragho Ko Bhuja Kar Kuch Nahi Milta



Kisi Ki Ankh Se Sapney Chura Kar Kuch Nahi Milta
Mandiron Ke Chiragho Ko Bhuja Kar Kuch Nahi Milta
Koi Ik Aadha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta
Unse Kehna Ke Palkon Par Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Kar Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Paye
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Kar Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kisi Ke Hijar Mein Neenden  Ganwa Kar Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi
Wasi Be-Faiz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha