Qaraar Paatey Hain Aakhir Hum Apni Apni Jagaah Zayada Reh Nahi Sakta Koi Kisi Ki Jagaah



Qaraar Paatey Hain Aakhir Hum Apni Apni Jagaah
Zayada Reh Nahi Sakta Koi Kisi Ki Jagaah

Banana Parrti Hai Har Shakhs Ko Jagaah Apni
Miley Agarchey Ba-Zahir Bani Banaayi Jagaah

Hein Apni Apni Jagaah Mutmaain Jahan Sab Log
Tasuwwuraat Mein Mere Hai Ek Aisi Jagaah

Gila'a Bhi Tujh Se Buhat Magar Mohabbat Bhi
woh Baat Apni Jagaah Hai, Yeh Baat Apni Jagaah


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo