Ta'aluq Rakh Lia Baqi , Yaqeen Ab Tod Aaya Hoon Kisi Ka Saath Dena Tha , Kisi Ko Chod Aaya Hoon



تَعلق رکھ لِیا باقی ، یقیں اب توڑ آیا ہوں
کسی کا ساتھ دینا تھا، کسی کو چھوڑ آیا ہوں
Ta'aluq Rakh Lia Baqi , Yaqeen Ab Tod Aaya Hoon
Kisi Ka Saath Dena Tha , Kisi Ko Chod Aaya Hoon

تمہارے ساتھ جینے کی قَسم کھانے سے کچھ پہلے
میں کچھ وعدے، کئی قَسمیں کہیں پر توڑ آیا ہوں
Tumhare Saath Jeenay Ki Qasam Khane Se Kuch Pehle
Main Kuch Wade , Kai Qasmein Kahein Par Tod Aaya Hoon

محبت کانچ کا زنداں ، یونہی سنگِ گِراں کب تھی
جہاں سَر پھوڑ سکتا تھا، وہیں سَر پھوڑ آیا ہوں
Muhabbat Kaanch Ka Zandaan , Yunhi Sang e Giraan Kab Thi
Jahan Sar Phood Sakta Tha , Wahein Sar Phood Aaya Hoon

پلٹ کر آ گیا لیکن یوں لگتا ہے کہ اپنا آپ
جہاں تم مجھ سے بچھڑے تھے وہیں پر چھوڑ آیا ہوں
Palat Kar Aa Gaya Lekin Yun Lagta Hai Keh Apna Aap
Jahan Tum Mujh Se Bichday Thay Wahein Par Chod Aaya Hoon

اُسے جانے کی جلدی تھی ، سو میں آنکھوں ہی آنکھوں میں
جہاں تک چھوڑ سکتا تھا، وہیں تک چھوڑ آیا ہوں
Ussay Jane Ki Jaldi Thi , So Main Aankhon Hi Aankhon Mein
Jahan Tak Chod Sakta Tha , Wahein Tak Chod Aaya Hoon

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo