Is Se Badh Kar Koi INAAM E HUNAR Kya Hai FARAZ Apne Hi Ahd Mein Ik Shakhs Fasana Ban Jaye
DeathAnniversary
Ahmed
Faraz ne jab shayari shuro ki thi toh unka naam 'Ahmed Shah Kohati'
hota tha jo baad mein Faiz Ahmed Faiz ke mashware se Ahmed Faraz ho
gaya! Faraz apne ahd ke sache fankaar the, haq-go aur bebaak!
Bar-e-sagheer mein jin shayaron ko sabse zyada pazeeraai aur mohabbaten
haasil huin unme Faraz ka naam sar-e-fehrist hai! Roomaani ehsaasaat ko
alfaaz ke paikar mein dhaalne ka kaam ho ya awaam ki aawaaz ban kar
ehtijaaj ka naara buland karna ho, Faraz ne dono kaarnamey bakhoobi
anjaam diye
Comments
Post a Comment