maana keh teray dill mein koi aur makee'n hai tu bhi tau meri jaan hai aur mera yaqee'n hai

 

 

 maana keh teray dill mein koi aur makee'n hai
tu bhi tau meri jaan hai aur mera yaqee'n hai
main jabar kay sajdo'n mein giroo'n toot na jaa'uun
patthar kay Khuda'o.. meri sheeshay ki jabee'n hai
aainay tujhay teri khabar day na saken gay
aa dekh meri aankh mein tu kitna hasee'n hai
deewaar mein chunwa kay mujhay jurm e wafa par
ay meray shehnshah tu paresha'n to nahee'n hai
palko'n say tha tarasha, jisey ham nay wo heera
matt puchh keh wo kis ki angoothi ka nagee'n hai

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai