Maine dekha tujhe ibdita ho gai Tune dekha mujhe inteha ho gai


 

Maine dekha tujhe ibdita ho gai
Tune dekha mujhe inteha ho gai

Bewafai toh tune ki aye bewafa
Jaane duniya ye kyu bewafa ho gai

Tujhko kya isse koi jiye ya mare
Ruth jana to teri ada ho gai

Hum ibadat mein rashmo k kaiil nahi
Tujhko dekha toh yaad e khuda ho gai

Chain dil ko nahi lamha bhar k liye
Lamha bhar ki mulaqat kya ho gai

Jindagi apni kitni samjhdar thi
Ek bute nasamjh pe fida ho gai

Ankh se ankh aur dil se dil kya mila
Dono janib se 'sajid' raza ho gai



Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai