Raaz e Hayat Kia Ye Bataya Hai Aap(P.B.U.H) Ne Mujh Ko Mere Khuda Se Milaya Hai Aap(P.B.U.H) Ne



رازِ حیات کیا یہ بتایا ہے آپ ﷺ نے
مجھ کو مرے خدا سے ملایا ہے آپ ﷺ نے


بھٹکے ہوئے تھے راہ سے اہلِ زمین سب
رستہ جو عین حق تھا دکھایا ہے آپ ﷺ نے


باطل کے زیرِ سایہ تھے ہم مبتلائے شرک
بس اک خدا، خدا ہے بتایا ہے آپ ﷺ نے


عقل و خرد، قلم، مرے مالک کی ہے عطا
شیریں سخن زباں کو بنایا ہے آپ ﷺ نے


ابرک دعا نہ پھر تری کیوں کر قبول ہو
حرفِ دعا جو تجھ کو سکھایا ہے آپ ﷺ نے


اتباف ابرک


Raaz e Hayat Kia Ye Bataya Hai Aap(P.B.U.H) Ne
Mujh Ko Mere Khuda Se Milaya Hai Aap(P.B.U.H) Ne


Bhatkay Hoe Thay Raah Se Ahl e Zameen Sab
Rasta Jo Ain Haq Tha Dekhaya Hai Aap(P.B.U.H) Ne


Batil Ke Zer e Saaya Thay Hum Mubtalaa e Shirk
Bas Aik Khuda , Khuda Hai Bataya Hai Aap(P.B.U.H) Ne


Aqal o Khard , Qalam , Mere Malik Ki Hai Aata
Shereen Sukhan Zubaan Ko Banaya Hai Aap(P.B.U.H) Ne


ABRAK Dua Na Phir Teri Kion Kar Qubool Ho
Harf e Dua Jo Tujh Ko Sekhaya Hai Aap(P.B.U.H) Ne

 
Atbaf Abrak

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo