Aye Dil e Beqarar Chup Ho Ja Ja Chuki Hai Bahaar Chup Ho Ja



اے دلِ بے قرار ، چُپ ھو جا
جا چکی ھے بہار ، چُپ ھو جا


اب نہ آئیں گے رُوٹھنے والے
دیدۂ اشک بار ، چُپ ھو جا


جا چکا کاروانِ لالہ و گل
اُڑ رھا ھے غبار ، چُپ ھو جا


چُھوٹ جاتی ھے پُھول سے خوشبُو
رُوٹھ جاتے ھیں یار ، چُپ ھو جا


ھم فقیروں کا اِس زمانے میں
کون ھے غم گسار ، چُپ ھو جا


حادثوں کی نہ آنکھ کھل جائے
حَسرتِ سوگوار ، چُپ ھو جا


گیت کی ضرب سے بھی ، اے ساغرؔ
ٹُوٹ جاتے ھیں تار ، چُپ ھو جا

ساغر صدیقی

Aye Dil e Beqarar Chup Ho Ja

Ja Chuki Hai Bahaar Chup Ho Ja

 

Ab Na Aaeingy Roothnay Wale

Deeda e Ashk Baar Chup Ho Ja

 

Ja Chuka Karwaan e Lala o Gul

Ud Raha Hai Ghubaar Chup Ho Ja

 

Choot Jati Hai Phool Se Khushbo

Rooth Jate Hein Yaar Chup Ho Ja

 

Hum Faqeeron Ka Iss Zamane Mein

Kon Hai Ghum-Gusaar Chup Ho Ja

 

Hadson Ki Na Aankh Khul Jaye

Hasrat e Sogwaar Chup Ho Ja

 

Geet Ki Zarb Se Bhi Aye SAGHAR

Toot Jate Hein Taar Chup Ho Ja

Saghar Siddiqui

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai