Saath woh raha chand roz mohabbat kerne k leye Ba izzat ke gaya tha beizzat kerne k Leye



Saath woh raha chand roz mohabbat kerne k leye
Ba izzat ke gaya tha beizzat kerne k Leye
Farishton sa mijaaz tha us shakhs ka bhi
Mujhe hi chuna her baar nasiyat kerne k leye
Maut bhi rahi waqif haalat se mere
Bas Woh na aaya Kabhi ayaadat kerne k leye
Ab sochti hoon to haansi aati hai us k alfaaz peh
K mein zaroori hoon ik qarb jannat kerne k leye
Saath chorrna, Dil torna alag baatein hain
Khuda ne kab di izajat khayanat kerne k leye
Mujhe bhi le doobi yeh aadat sawaab ki
K Ishq bhi zaroori hai ibadat kerne k leye


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai