Aao DECEMBER Ko Rukhsat Karein



Aao DECEMBER Ko Rukhsat Karein

Kuch Khushion Ko Sanbhal Kar

 Kuch Aansoun Ko Taal Kar

Jo Lamhe Guzre Chahaton Mein

Jo Pal Beetey Rafaqaton Mein

Kabhi Waqt K Saath Chaltey Chaltey

Jo Thak K Ruke Raston Mein

Kabhi Khushion Ki Ummeed Mili

Kabhi Bichdey Houn Ki Deed Mili

Kabhi Be-Panah Muskura Diye

Kabhi Haste Haste Ro Diye

In Sare Lamhon Ko Mukhtasar Karen 


Aao DECEMBER Ko Rukhsat Karein

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai