Sab intezar mein thay, kab koi zubaan khulay Phir us k hont khulay aur sab k kaan khulay



غزل
سب انتظار میں تھے، کب کوئی زبان کُھلے
پھر اُس کے ہونٹ کُھلے اور سب کے کان کُھلے


بھلے ہو لاکھ حسیں خواب ،یاد رہتا نہیں
جب آنکھ درجنوں لوگوں کے درمیان کُھلے


بہت سا لیں گے کرایہ ،ذرا سی دیں گے جگہ
یہاں کے لوگوں کے دل تنگ ہیں ،مکان کُھلے


گیا وہ شخص تو نظریں اٹھائیں لوگوں نے
ہوا تھمی تو جہازوں کے بادبان کُھلے


ہماری آنکھ میں کھدّر کے خواب بِکتے تھے
تم آئے اور یہاں بوسکی کے تھان کُھلے


جگہ ہو اِس میں، کم از کم، مرے یقیں کے لیے
میں چاہتا ہوں کہ اتنا تِرا گمان کھُلے


یہ کون بھول گیا اُن لبوں کا خاکہ یہاں؟
یہ کون چھوڑ گیا گُڑ کے مرتبان کُھلے؟


عمیر نجمی


Ghazal

 
Sab intezar mein thay, kab koi zubaan khulay
Phir us k hont khulay aur sab k kaan khulay


Bhalay ho laakh haseen khwab, yaad rehta nahin
Jab aankh darjanon logon k darmyaan khulay


Bohat sa lain ge kiraya, zara si dain ge jagah
Yahan k logon k dil tang hain, makaan khulay


Gaya wo shakhs to nazrain uthayin logon ne
Hawa thami to jahaazon k baadbaan khulay


Hamari aankh mein khaddar k khwab biktay thay
Tum aye aur yahan boski k thaan khulay


Jagah ho is mein, kam az kam, meray yaqeen k liay
Main chahta hoon k itna tera gumaan khulay


Ye kon bhool gya un labon ka khaaka yahan?
Ye kon chod gaya gud k martabaan khulay?

 
Umair Najmi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo