Nikla jaa raha hai umeedon ka juloos dheere dheere Deed-e-yaar ke armaan houe maayus dheere dheere



Nikla jaa raha hai umeedon ka juloos dheere dheere
Deed-e-yaar ke armaan houe maayus dheere dheere


Bhoole se bhi bhoola na jaata wo milnaa-julnaa unse
Meri kami hoti hogi unko bhi mehsoos dheere dheere


Pehle Akhtar maana phir patthar samjha usne mujhe
Bhool chuki wo saare lafz-e-khuloos dheere dheere


Sataaya, rulaaya, kaun kaun sa zulm na dhayaa unpar
Samajhne lagi hogi wo mujhe manhoos dheere dheere


Bharnaa tha wo khaai jo unki furqat ne chhod rakhaa
Houe dard-e-nagme hi apne makhsoos dheere dheere


Wo mujh se zaraa khafaa hai magar bewafaa to nahin
Roshni mein aa jayegaa unka khaloos dheere dheere


Dil ki dawlat baant diyaa tha badi murawat ke saath
Kuch sabaq ke baad bana hon kanjoos dheere dheere


Banaa do ’Amanush’ ko khudaa dam bhar, Mere Rab...!
Mumkin tab hi banega ek aam manoos dheere dheere


Waqt se pehle Mushkil hai accha koi naam kamaana
Aasman ko chuegaa mera bhi takhallus dheere dheere


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo