Zara Socho Ye Sari Dunya Khali Ho Bas Is Mein Aik Hi "TUM" Ho



ذرا سوچو
یہ ساری دُنیا خالی ہو
بس اِس میں ایک ہی "تم" ہو
نہ کوئی دیکھنے والا
نہ کوئی بولنے والا
نہ ہنسنا ہو نہ رونا ہو
کہ بے معنی سا جینا ہو
ذرا سوچو
کہ ایسے میں
کہاں تک جی سکو گے تم
اگر احساس ہو جائے
تو اِتنا بھی سمجھ لینا
کہ "تم" بن آج تک ہم بھی
اِسی دنیا میں رہتے ہیں


Zara Socho

Ye Sari Dunya Khali Ho

Bas Is Mein Aik Hi "TUM" Ho

Na Koi Dekhne Wala 

Na Koi Bolne Wala

Na Hansna Ho Na Rona Ho

Keh Be-Ma'ani Sa Jeena Ho

Zara Socho

Keh Aise Mein

Kahan Tak Jee Sakogy Tum

Agar Ihsas Ho Jaye

To Itna Bhi Samajh Laina

Keh "TUM" Bin Aaj Tak Hum Bhi

Isi Dunya Mein Rehte Hein


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai