Dar o Baam Sab Ne Saja Liye,Sabhi Roshni Mein Neha Liye Meri Ungliyan Bhi Jhulas Gaein Magar Ik Chiraagh Jala Nahi
در و بام سب نے سجا لیے، سبھی رَوشنی میں نہا لیے
مِری اُنگلِیاں بھی جھُلس گئیں مگر اِک چراغ جلا نہیں
Dar o Baam Sab Ne Saja Liye,Sabhi Roshni Mein Neha Liye
Meri Ungliyan Bhi Jhulas Gaein Magar Ik Chiraagh Jala Nahi
غمِ زِندگی! تِری راہ میں، شبِ آرزُو! تِری چاہ میں
جو اُجڑ گیا وہ بسا نہیں، جو بِچھڑ گیا وہ مِلا نہیں
Gham e Zindagi ! Teri Raah Mein,Shab e Aarzoo! Teri Chaah Mein
Jo Ujad Gaya Woh Basa Nahi,Jo Bichad Gaya Woh Mila Nahi
میرا ہمسفر جو عجِیب ہے تو عجِیب تر ہُوں مَیں آپ بھی
مُجھے منزِلوں کی خبر نہیں، اُسے راستوں کا پتہ نہیں
Mera Humsafar Jo Ajeeb Hai Tou Ajeeb-Tar Hoon Main Aap Bhi
Mujhe Manzilon Ki Khabar Nahi , Usay Raston Ka Pata Nahi
Comments
Post a Comment