Muhabbat Kia Hai Dil Ka Dard Se Ma'amor Ho Jana Mata e Jaan Kisi Ko Sonp Kar Majbor Ho Jana


 

محبت کیا ہے دل کا درد سے معمور ہو جانا
متاعِ جاں کسی کو سونپ کر مجبور ہو جانا
Muhabbat Kia Hai Dil Ka Dard Se Ma'amor Ho Jana
Mata e Jaan Kisi Ko Sonp Kar Majbor Ho Jana

 ہماری بادہ نوشی پر فرشتے رشک کرتے ہیں
کسی کے سنگِ در کو چومنا مخمور ہو جانا
Hamari Badah-Noshi Par Fareshtay Rashk Karte Hein
Kisi Ke Sang e Dar Ko Choomna Makhmor Ho Jana

بسا لینا کسی کو دل میں دل ہی کا کلیجہ ہے
پہاڑوں کو تو بس آتا ہے جل کر طور ہو جانا
Basa Laina Kisi Ko Dil Mein Dil Hi Ka Kaleja Hai
Pahadon Ko Tou Bas Aata Hai Jal Kar Toor Ho Jana

یہاں تو سر سے پہلے دل کا سودا شرط ہے یارو
کوئی آسان ہے کیا سرمد  و  منصور ہو جانا
Yahan Tou Sar Se Pehle Dil Ka Souda Shart Hai Yaaro
Koi Aasan Hai Kia Surmad o Mansoor Ho Jana

قدم ہے راہِ الفت میں تو منزل کی ہوس کیسی
یہاں تو عین منزل ہے تھکن سے چور ہو جانا
Qadam Hai Rah e Ulfat Mein Tou Manzil Ki Hos Kaisi
Yahan Tou Ain Manzil Hai Thakan Se Choor Ho Jana

نظر سے دور رہ کر بھی تقؔی  وہ پاس  ہیں میرے
کہ میری عاشقی کو عیب ہے مہجور ہو جانا۔
Nazar Se Door Reh Kar Bhi TAQI Woh Paas Hain Mere
Keh Meri Aashiqi Ko Aib Hai Mahjor Ho Jana

مفتی تقی عثمانی صاحب
Mufti Taqi Usmani Sahib


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai