Gehra Hai Kitna Zakham e Jigar Ye Na Poochiye Khanjar Lahoo Se Kis Ka Hai Tar Ye Na Poochiye



گہرا ہے کتنا زخمِ جگر یہ نہ پوچھئے
خنجر لہو سے کس کا ہے تر یہ نہ پوچھئے
Gehra Hai Kitna Zakham e Jigar Ye Na Poochiye
Khanjar Lahoo Se Kis Ka Hai Tar Ye Na Poochiye

 

کیوں دم بخود ہیں اہلِ نظر یہ نہ پوچھئے
کتنی ہے دل خراش خبر یہ نہ پوچھئے
Kion Dum-Bakhud Hein Ahl e Nazar Ye Na Poochiye
Kitni Hai Dil-Kharash Khabar Ye Na Poochiye

 

ان حادثوں سے اور ملی دل کو تقویت
ہم ہوگئے ہیں کتنے نڈر یہ نہ پوچھئے
In Hadson Se Aur Mili Dil Ko Taqweeyat
Hum Ho Gaye Hein Kitnay Nadar Ye Na Poochiye



ویرانیاں تباہی کی خود ہی گواہ ہیں
کتنے جلے ہیں شہر میں گھر یہ نہ پوچھئے
Weeraniyan Tabahi Ki Khud Hi Gawah Hein
Kitnay Jalay Hein Shehar Mein Ghar Ye Na Poochiye

 

طے کر رہاہوں جیسے کوئی راہِ پل صراط
کیسا ہے زندگی کا سفر یہ نہ پوچھئے
Tay Kar Raha Hoon Jaise Koi Rah e Pull Siraat
Kaisa Hai Zindagi Ka Safar Ye Na Poochiye



انسانیت خجل ہے بہائم ہیں شرمسار
خونخوار کس قدر ہے بشر یہ نہ پوچھئے
Insaniat Khajal Hai Bahaim Hein Sharamsar
Khoonkhuwar Kis Qadar Hai Bashar Ye Na Poochiye

 

ہیرا ہے کوئلے میں تو کیڑا انار میں

کس میں ہے عیب کس میں ہنر یہ نہ پوچھئے
Heera Hai Koilay Mein Tou Keeda Anar Mein
Kis Mein Hai Aib Kis Mein Hunar Ye Na Poochiye


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha