Aik Wadah Hai Kisi Ka Jo Wafa Hota Nahi Warna In Taron Bhari Raaton Mein Kia Hota Nahi


 
ایک وعدہ ہے کسی کا جو وفا ہوتا نہیں
ورنہ ان تاروں بھری راتوں میں کیا ہوتا نہیں
Aik Wadah Hai Kisi Ka Jo Wafa Hota Nahi
Warna In Taron Bhari Raaton Mein Kia Hota Nahi
 
جی میں آتا ہے الٹ دیں ان کے چہرے سے نقاب
حوصلہ کرتے ہیں لیکن حوصلہ ہوتا نہیں
Jee Mein Aata HaiUlat Dein Unke Chehre Se Naqaab
Housla Karte Hein Magar Housla Hota Nahi
 
شمع جس کی آبرو پر جان دے دے جھوم کر
وہ پتنگا جل تو جاتا ہے فنا ہوتا نہیں
Shamma Jis Ki Aabroo Par Jaan De De Jhoom Kar
Woh Patanga Jal Tou Jata Hai Fana Hota Nahi
 
اب تو مدت سے رہ و رسم نظارہ بند ہے
اب تو ان کا طور پر بھی سامنا ہوتا نہیں
Ab Tou Muddat Se Rah o Rasam Nizara Band Hai
Ab Tou Unka Toor Par Bhi Samna Hota Nahi
 
ہر شناور کو نہیں ملتا تلاطم سے خراج
ہر سفینے کا محافظ ناخدا ہوتا نہیں
Har Shanawar Ko Nahi Milta Talatum Se Khiraj
Har Safeenay Ka Muhafiz Na-Khuda Hota Nahi
 
ہر بھکاری پا نہیں سکتا مقام خواجگی
ہر کس و ناکس کو تیرا غم عطا ہوتا نہیں
Har Bhikari Paa Nahi Sakta Muqam e Khuwajgi
Har Kas o Na-Kas Ko Tera Gham Aata Hota Nahi

ہائے یہ بیگانگی اپنی نہیں مجھ کو خبر
ہائے یہ عالم کہ تو دل سے جدا ہوتا نہیں
Haaye Ye Begangi Apni Nahi Mujh Ko Khabar
Haaye Ye Aalam Keh Tu Dil Se Juda Hota Nahi
 
بارہا دیکھا ہے ساغرؔ رہ گزار عشق میں
کارواں کے ساتھ اکثر رہنما ہوتا نہیں
Barha Dekha Hai SAGHAR Rah-Guzar Ishq Mein
Karwaan Ke Saathj Aksar Rahnuma Hota Nahi
 
ساغر صدیقی
Saghar Siddiqui
 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai