Dua Ka Toota Hoa Harf Sard Aah Mein Hai Teri Judai Ka Manzar Abhi Nigah Mein Hai



دعا کا ٹوٹا ہوا حرف سرد آہ میں ہے
تیری جدائی کا منظر ابھی نگاہ میں ہے
Dua Ka Toota Hoa Harf Sard Aah Mein Hai
Teri Judai Ka Manzar Abhi Nigah Mein Hai


تیرے بدلنے کے باوصف تجھکو چاہا ہے
یہ اعتراف بھی شامل میرے گناہ میں ہے
Tere Badalnay Ke Bawasaf Tujhko Chaha Hai
Ye Aiteraf Bhi Shamil Mere Gunah Mein Hai


عذاب دیگا تو پھر مجھکو خواب بھی دےگا
میں مطمعیں ہوں میرا دل تری پناہ میں ہے
Azab Dega Tou Phir Mujh Ko Khuwab Bhi Dega
Main Mutmaen Hoon Mera Dil Teri Panah Mein Hai


بکھر چکا ہے مگر مسکرا کے ملتا ہے
یہ رکھ رکھاؤ ابھی میرے کجکلاہ میں ہے
Bikhar Chuka Hai Magar Muskura Ke Milta Hai
Ye Rakh Rakhao Abhi Mere Kajkalah Mein Hai


جسے بہار کے مہمان خالی چھوڑ گئے
وہ اک مکان ابھی تک مکیں کی چاہ میں ہے
Jise Bahar Ke Mehman Khali Chod Gaye
Woh Ik Makan Abhi Tak Makeen Ki Chaah Mein Hai

 
یہی وہ دن جب اک دوسرے کو پایا تھا
ہماری سالگرہ ٹھیک اگلے ماہ میں ہے
Yahi Woh Din Jab Ik Dosre Ko Paaya Tha
Humari Salgira Theek Aglay Maah Mein Hai


میں بچ بھی جاؤں تو تنہائی مار ڈالے گی
میرے قبیلے کا ہر اک شخص قتل گاہ میں ہے
Main Bach Bhi Jaoun Tou Tanhaai Mar Dalay Gi
Mere Qabeelay Ka Har Ik Shakhs Qatal-Gah Mein Hai

پروین شاکر
Parveen Shakir


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo