Hasrat Hi mReh Gai Keh Kabhi Khul Ke Ro Sakein Aansoo Mily Bas Itne Keh Palkein Bhego Sakein


 

حسرت ہی رہ گئی کہ کبھی کھل کے رو سکیں

 آنسو ملے بس اتنے کہ پلکیں بھگو سکیں 

Hasrat Hi mReh Gai Keh Kabhi Khul Ke Ro Sakein

Aansoo Mily Bas Itne Keh Palkein Bhego Sakein

 

اب آ بھی جائے درد کے دریا میں وہ بھنور

 ہم جس میں اپنے ضبط کی کشتی ڈبو سکیں

Ab Aa Bhi Jaye Dard Ke Darya Mein Woh Bhanwar

Hum Jis Mein Apne Zabt Ki Kashti Dabo Sakein

 

اپنی ہی سُدھ رہے نہ زمانے کی کچھ خبر

کوئی جگہ ہو ایسی جہاں جا کے کھو سکیں

Apni Hi Sudh Rahe Na Zamane Ki Kuch Khabar

Koi Jagah Ho Aisi Jahan Ja Ke Kho Sakein

 

ممکن کہاں کہ ایک ہی ارماں سے دل بھرے

 ممکن نہیں کہ ایک تمنا کے ہو سکیں 

Mumkin Kahan Keh Aik Hi Arman Se Dil Bhare

Mumkin Nahi Keh Aik Tamanna Ke Ho Sakein

 

اب تو خدا ہی ہم کو یہ توفیق دے تو دے

ہاتھ آئے ان غموں سے کبھی  ہاتھ دھو سکیں 

Ab Tou Khuda Hi Hum Ko Ye Toufiq De Tou De

Haath Aaye In Ghamon Se Kabhi Haath Dho Sakein

 

راجیش ریڈی

Rajesh Ready

 

Comments

Popular posts from this blog

Dukh Ye Hai Mera Yousaf o Yaqoob Ke Khaliq Woh Log Bhi Bichdey Jo Bichadnay Ke Nahi Thay

Mere Tan Ke Zakham Na Gin Abhi Meri Aankh Mein Abhi Noor Hai

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein