Jafa o Jor Ki Dunya Sanwar Di Hum Ne Zahe Naseeb Keh Hans Ke Guzar Di Hum Ne


 

ﺟﻔﺎ ﻭ ﺟﻮﺭ ﮐﯽ ﺩﻧﯿﺎ ﺳﻨﻮﺍﺭ ﺩﯼ ﮨﻢ ﻧﮯ
ﺯﮨﮯ ﻧﺼﯿﺐ ﮐﮧ ﮨﻨﺲ ﮐﮯ ﮔﺰﺍﺭ ﺩﯼ ﮨﻢ ﻧﮯ
Jafa o Jor Ki Dunya Sanwar Di Hum Ne
Zahe Naseeb Keh Hans Ke Guzar Di Hum Ne

 
ﮐﻠﯽ ﮐﻠﯽ ﮨﻤﯿﮟ ﺣﯿﺮﺍﻧﯿﻮﮞ ﺳﮯ ﺗﮑﺘﯽ ﮨﮯ
ﮐﮧ ﭘﺖ ﺟَﮭﮍﻭﮞ ﻣﯿﮟ ﺻﺪﺍﺋﮯ ﺑﮩﺎﺭ ﺩﯼ ﮨﻢ ﻧﮯ
Kali Kali Humain Hairanion Se Takti Hai
Keh Pat Jhadon Mein Sadaa e Bahar Di Hum Ne

 
ﺧﯿﺎﻝِ ﯾﺎﺭ ﮐﯽ ﺭﻧﮕﯿﻨﯿﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﮔﻢ ﮨﻮ ﮐﺮ
ﺟﻤﺎﻝِ ﯾﺎﺭ ﮐﯽ ﻋﻈﻤﺖ ﻧﮑﮭﺎﺭ ﺩﯼ ﮨﻢ ﻧﮯ
Khayal e Yaar Ki Ranginion Mein Gum Ho Kar
Jamaal e Yaar Ki Azmat Nikhar Di Hum Ne

 
ﺍﺳﮯ ﻧﮧ ﺟﯿﺖ ﺳﮑﮯ ﮔﺎ ﻏﻢِ ﺯﻣﺎﻧﮧ ﺍﺏ
ﺟﻮ ﮐﺎﺋﻨﺎﺕ ﺗﺮﮮ ﺩﺭ ﭘﮧ ﮨﺎﺭ ﺩﯼ ﮨﻢ ﻧﮯ
Usay Na Jeet Sakay Ga Gham Zamana Ab
Jo Kainaat Tere Dar Pe Haar Di Hum Ne

 
ﻭﮦ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﮐﮧ ﺟﺴﮯ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﺳﮯ ﻧﺴﺒﺖ ﺗﻬﯽ
ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺯﻟﻒ ﭘﺮﯾﺸﺎﮞ ﭘﮧ ﻭﺍﺭ ﺩﯼ ﮨﻢ ﻧﮯ
Woh Zindagi Keh Jise Zindagi Se Nisbat Thi
Tumhari Zulf Pareshan Pe War Di Hum Ne

 
ﮐﭽﮫ ﺍﯾﺴﺎ ﺳﺮﺩ ﮨﻮﺍ ﺟﺬﺑﮧِ ﻭﻓﺎ ﺳﺎﻏﺮ
ﺧﻮﺩ ﺍﭘﻨﯽ ﺫﺍﺕ ﮐﻮ ﮨﻨﺲ ﮨﻨﺲ ﮐﮯ ﺧﺎﺭ ﺩﯼ ﮨﻢ ﻧﮯ
Kuch Aisa Sard Hoa Jazba Wafa SAGHAR
Khud Apni Zaat Ko Hans Hans Ke Khaar Di Hum Ne

 
ﺳﺎﻏﺮؔ ﺻﺪﯾﻘﯽ
Saghar Siddiqui

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo