Shamma Is Rah Pe Jali Hai Abhi Ranj Ki Shab Kahan Dhali Hai Abhi


 

شمع اس راہ پہ جلی ہے ابھی
رنج کی شب کہاں ڈھلی ہے ابھی

Shamma Is Rah Pe Jali Hai Abhi

Ranj Ki Shab Kahan Dhali Hai Abhi

 
گُل کھلے ہیں تمہاری آہٹ سے
آنکھ مہتاب نے ملی ہے ابھی

Gul Khilay Hein Tumhari Aahat Se 

Aankh Mahtaab Ne Mali Hai Abhi


دل کہ جس کو فقیر کہتے ہیں
ایک اجڑی ہوئی گلی ہے ابھی

Dil Keh Jis Ko Faqeer Kehte Hein

Aik Ujdi Hoi Gali Hai Abhi


کاروبارِ جنوں کی گمنامی
شہرت ِعقل سے بھلی ہے ابھی

Karobar e Junoon Ki Gumnami 

Shuhrat Aqal Se Bhali Hai Abhi


چاند اُتریں گے رہگزاروں میں
رسمِ تابندگی چلی ہے ابھی

Chand Utreingy Rahguzaron Mein

Rasm e Tabindagi Chali Hai Abhi


اب طبیعت بحال ہے ساغرؔ
کچھ ذرا من میں بے کلی ہے ابھی

Ab Tabia'at Bahal Hai SAGHAR 

Kuch Zara Man Mein Be-Kali Hai Abhi 

ساغر صدیقی

Saghar Siddiqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha