Tumhara Hijar , Wabastgi e Qurbat Ke Lamhe Aur DECEMBER Tumhara Lams , Wabastgi Dil o Jaan Ke Lamhe Aur DECEMBER



Tumhara Hijar , Wabastgi e Qurbat Ke Lamhe Aur DECEMBER

Tumhara Lams , Wabastgi Dil o Jaan Ke Lamhe Aur DECEMBER

Tumhari Doori Hijar Ke Maron Ke Liye Wehshat

Tumhari Yaad ! Wabastgi Ronaq Mehfil Ke Lamhe Aur DECEMBER

Tumhara Intezar Baqi Rahe Ga Ta Dum e Marg

Tumhare Laot Aanay Ki Justjo Ke Lamhe Aur DECEMBER

Ik Aur Bars Tere Nam Raha Shab o Roz Zindagani Ka

Ja Baja Mere Lafzon Mein Teri Yaad Ke Lamhe Aur DECEMBER

Sard Mousam Ki Sard Shamein Aur Dasht Tanhaai Ka Safar

Har Mod Pe Tere Saath Guzri Baton Ke Lamhe Aur DECEMBER

Daur e Hayat , Aur Tera Zikar , Yaad Rahe Ga

Jab Talak Hein WAQAS , Sanson Ki Aahat Ke Lamhe Aur DECEMBER

 




Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai