Uske Halqay Mein Chand Aik Shikaari Thay SALEEM Aur Kuch Main Bhi Parindon Se Buhat Khelta Tha



Raqs Karte Hoe Lamhon Se Buhat Khelta Tha
Be-Khudi Mein Main Zamanon Se Buhat Khelta Tha


Bichadnay Wale Ye Batatay Hein Selaab Se Qabal
Ye Jo Darya Hai Kinaron Se Buhat Khelta Tha


Main Khilono Se Kabhi Bhi Nahi Khela Ae Dost
Khuwaab Hotay Thay Main Khuwabon Se Buhat Khelta Tha


Ab Tou Be-Rang Udaasi Hai Meri Aankhon Mein
MAA Batati Hai Main Rangon Se Buhat Khelta Tha


Uske Halqay Mein Chand Aik Shikaari Thay SALEEM
Aur Kuch Main Bhi Parindon Se Buhat Khelta Tha


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo