Zameen par chal na sakha aasmaan se bhi gaya Katay jo par to parinda ur’ran se bhi gaya
Zameen par chal na sakha aasmaan se bhi gaya
Katay jo par to parinda ur’ran se bhi gaya
Kisi k haath se nikla hua woh teer hoon main
Hadaf ko choo na sakha aur kamaan se bhi gaya
Tabah kar gayein mujhe pakkay ghar ki khawaishen
Main apna gaon k kachay makaan se bhi gaya
Aag mein kooda bhi to kya mila Mujhe Mohsin
Ussay bacha na sakha aur apni jaan se bhi gaya
Comments
Post a Comment